Thursday

Sunehra Lehja

Tere Chone Se

Wo Peele Peir


Bohut purkhaar hain rastay
Bohut be'zaar hain rastay

Dil Mera


Dil Mera Kat Gaya Hai Resham Se
Iss Ko Si Do Kisi Naey Ghum Se

Gum


Shaam Ki Gun'gunahaton Mein Gum
Hon Ajab San'sanahaton Mein Gum

Tere Lehje Ne Rooh Kheinchi Hai
Jism O Jaan Hain Rukawaton Mein Gum

Intizaar Ki Baarish


Sabhi Ne Dekha Tha Ik Chaand Jis Dareeche Mein
Usi Pe Aaj Hai Dard O Ghubaar Ki Baarish

Zameen E Dard Ki Mitti Mehekti Rehti Hai
Kabhi Ruki Hi Nahein Intizaar Ki Baarish

Ye Kisey


Ye Kisey Dil Ki Saraey Mein Basa Kar Naina
Isko Apne Liye Anjaan Banati Hon Mein

Pyar Ki Kahani


Pyar Ki Kahani Mein Such Agar Miley Naina
Umr Baandh Leti Hain Larkiyan Wafa'on Se

Meri Pazeb


Meri Paazeib Raqs Mein Zakhmi
Bazm Hai Jhan'jhana'haton Mein Gum

Hont Tak Baat Laa Ke Mein Naina
Kyon Hui Hich'kicha'haton Mein Gum

Mein Chali


Mein Chali Jaon Gi Yaadon Ko Muqaf'fal Ker Ke
Uski Bakhshi Hui Saanson Ko Mukam'mal Kar Ke

Khud Hi Jab Bhool Ke Aati Hon Mein Apni Chatri
Kyon Wo Mil Jati Hai Wapas Mujhe Jal Thal Kar Ke

Meri Khirki


Meri Khirki Se Aa Ke Dekhe Wo
Neele Saagar Se Jisko Nafrat Hai

Mein Jis Jagah


Mein Jis Jagah Khari Thi Wahein Jam Ke Reh Gai
Kais Nazar Thi Choo Ke Be'jaan Kar Gai

Jaane Kis Dhun Mein


Jaane Kis Dhun Mein Saja Ker Ye Kiran Sa Pekar
Khud Ko Aaeene Se Anjaan Banati Hon Mein

Ye Kisey Dil Ki Sarey Mein Basa Kar Naina
Isko Apne Liye Sunsaan Banati Hon Mein

Jaal Phela Diye


Jaal Phela Diye Kya Kya Na Mere Andeshon Ne
Jab Bhi Lamhaat Ki Mojoun Mein Uterna Chaha

Jaan Rakh Deti Hon


Jaan Rakh Deti Hon Totay Ke Badan Mein Apni
Aur Totay Ko Bhi Be'jaan Banati Hon Mein